Wednesday, March 20, 2013

Zinda hoon mai

Halki si aahat se
neend ki chahdar kholi
dekha badlo ki taraf
roshni ki aankh micholi
mehsoos kiya us hawa ko
dheeme se saanson mai
aankhen kholi to laga
haa zinda hoon mai

Mann se rishta tuta purana
dhadkano ka haath thaama
har pal khudse bhaagta
ab sacchaiyon ko maana
aawaaz aayi us aur se
kaha rab ka parinda hoon mai
pankh fellaye to dekha
haa zinda hoon mai

No comments:

Post a Comment